Hindi Shayeri Urdu SMS Collection 2

meri zindage ka maqsad hai teri hi ibaadat
meri baat yaad rakhna kahin tum badal na jana
----------
me ne chaha tha tujhe dil me basa loon lakin
tune harr baar aqeedat se baghawat kar de

----------
Ajeeb Shaks Tha Wo Ay Zindagi
Jise Samajh Kar Bhi Na Samajh Saka
Mujhe Chahta Bhi Gazab Ka Tha or
Mujhe Chor Kar Bhi Chala Gaya
----------
Agar Mujse Ulfat Nahi To Rokte Q Ho
Tanhai Me Mere Bare Me Sochte Q Ho
Agar Manzilain Juda Hy To Janay Do Muje
Laut Kr Kab Aaoge Pochte Q Ho
----------
uske siva koi mere jazbat me nahi
aankhon me wo nami hai jo barsat me nahi
paane ki use koshish bohat ki magar
shayad wo ek lakeer mera haath me nahi
----------
Lazmi to nahi k zubaan izhar kare
Kuch jazbon ko '' EHSAS'' b huwa dete hain
Khmosh muhabat b ibadat hai Fraz
''Asi Muhabat'' ko Fareishte b DUA dete hai
----------
Hawaen sard ho jaen Ya lehje barf ho jaen
Hum us ki yad ki chadar ko khud pe tan lete hen
Agar wo ruth jata he humarai Jaan nikalti he
Ye sasen jari rakhne ko hum us ki Man lete hen
----------
kia dhoond rahe ho ab is dil ki rakh me faraz
onwan jis ka tum thay wo afsana hi jaal gaya
----------
Shaam din ko dalhna Sikha daiti hy
Shama Parwany ko jalna sikha daiti hy
Girny sy Choot tu lagti hy mager
Thokrain Insan ko Chalna sikha daiti hy
----------
main us k Haathon ma tha tute hue Sheshe ki tara Faraz
Bari umeed thi k Bikhrny nehi dy ga
bas giraya kuch iss ada say k
phir simatny ki Aaas hi na rahi
----------
Main nahi hoon apnay wajood ma
mujay janay kiss nay chura liya
mery sath rehti thi aik paari
koi jadoo uss nay chala diya
meri rooh ma wo sama gai
mujay ishq karna sikha diya
----------
kyun Ghareeb smajhty hain hamein ye jahan waly FARAZ
Hazaroon Dard ki dolat sy mala mal hain hum
----------
Subha hui tu AAnkhein aisey neend sy bojhal thien FARAZ
Jaisy koi jaag raha tha mujh mein saari Raat
----------
Mery hi hatoon py likhi hy Taqdeer meri Faraz
Aur meri hi Taqdeer per mera bas nahi chalta
----------
Jab kuch bhi nahi hota tu bhari barish mein
Tujh sy bechray hoey rstoon py safar krta hon mein
----------
Kuch ye bhi hy k Mosam-E-Eshiq ab nahi raha
Kuch hum bhi Thak gay hain dar per khary khary.
----------
tum poocho aur mein na batao
aisey tou halaat nahi
ik zara sa dil toota hai aur tou koi baat nahi
----------
woh jub bhi khafa huay tou chup bethey rahe hum
hum ik baar mana laity tou roz khafa hota
----------
ajeeb shakhs hai bey chaniyo mein rehta hai
mere tarf sey ghalt fehmiyo mein rehta hai
----------
us k honton ka tabasum Rahe Qayam Yaa rab
us k jewan maen khuseon ka basera kar day
maery dil ki dua sun lay maery Mola
sari dunea say chupa k usay maera kar day
----------
Ki Muhammad say wafa tu nay to ham tery hain
ye jahan cheez hay kia loho_kalam tery hain
----------
unhain payar karna nahi aata
or hamain pyar k sawa kuch nahi aata
jeenay k sirf ye do rasty hain
ek unhain nahi aata ek hamain nahi aata
----------
Too wafa kar wafa ka sila jaany khuda jaany
too diya jalaaty rahna hawa jaany khuda jaany
khizan ka khauf maali ko buzdil nahen kar sakta
chaman aabad rakh baad-e-saba jaany khuda jaany
Mareez-e-ishq dawaey dil samajh dilbar ko
Maraz jaany dawa jaany Shifa jaaany khuda jaaany
----------
Pe Ja aayam ki talkhi ko hans k Nasir
Gham k sehnay main bhe Qudrat ne maza rakha hay
----------
Palkon K Kinare Jo Humne Bhigoe He Nahin
Tum Ye na samjho hum roye he nahin
Woh puchte hain Khab mein kya dekhte ho
Aik hum hain k mudat se soye he nahin
----------
BAS Yahee bat dono k darmean kashedgi ka sabab theri
mujay charagon say piar that us k hawaoon say rabtay
----------
ye mana saqi k mjhy hosh nahin
warna mn kuch b hon mgr ihsan framosh nahin
main tere must nighaon ka bhrm rkh lon ga
hosh aya bhi tu keh dun ga mjhy hosh nahin
----------
Meri koi khaata to sabit kar
agar bura hu to bura sabit kar
apne khilaf muj se koi harf b suna ho to sabit kar
me bewafa hi sahi tu apni wafe to sabit kar
----------
Tery azad bandon ki na ye dunia na wo dunia
yehan mernay ki pabandi wahan jeenay ki pabandi
----------
koi haath bhee na milaaega jo gally milogay tapaaq se
yeh naee mizaag ka shaehr zara faasily se mila karo
----------
JEENA AASAN TO NAHEE TUM SAY BICHAR KER LAYKIN
APNAY HATHOON KE LAKEEROON KO MITAOON KAISAY
----------
phir kahin door se sada do mujh ko
meri tnhai ka ehsas dila do mujh ko
tum tu suraj ho tumhen meri zaroorat kiya
me tu diya hoon apni chookat pe jala do mujh ko
----------
pathar mujhy kahta hai mera caahnay waala
main moom hon us ne mujhy chhoo kar nhn dekha
----------
wo bewafa na tha Faraz yunhe badnaam hogaya
chahnay walay itnay thay kis kis say wafa karta
----------
Mujh se NAFRAT ki ajab raah nikali us nay
Hasta basta dil kar diya khali us nay
Meray ghar ki riwayat se woh khoob waqif tha
JUDAI mang li ban k SAWALI us nay
----------
Hum itnay bhe gaie guzray nahie thay "Faraz"
K tujh ko sari Khudai k baad yaad ayai
----------
Sab beeti hui baatein bhula di hum ne
Ab Dil main maazi basana chor diya
Kaanton se bhar dete hain log daaman
Hum ne Aangan main Phool khilana hi chor diya
Kabhi na maangen ge kisi se bheek Mohabbat ki
Is hi liye hum ne Pyaar karna hi chor diya
----------
Hum ne kisi ki yaad main rona hi chor diya
Apni Zindagi ko talaash karna hi chor diya
----------
Roey is qadar wo meri laash sa lipth ker Faraz
Agar hoti Khabar pehle to kab ka mar gaye hotay
----------
Mairy marnay kay baad b meri ankhein khuli rahi FARAZ
Q kay mujy adutt si ho gai thi terey intazar ki
----------
Ufaq se par koi had nazar me rakhe gi
Teri talash musalsal safar me rakhe gi
Ajeeb shay hy teri yad jo bala ki trah
Har aik pal muje apne asar me rakhe gi
----------
ham se badal gaya wo nigahen to kiya huwa
zinda hain kitny log mohabat kiye bagair
----------
Ek raat hui barsaat bohut
Mai roya sari raat bohut
Har gham tha zamaanay ka
lekin main tenha tha uss rat bohut
phir aankh se ek saawan bersa
jab seher hui tou khayaal aaya
wo baadal kitna tanha the
jo bersa sarri raat bohut
----------
Tum pe jaan main fida karon
Tumhen khud se na main juda karon
Mere sath raho humsafar ban kar
Yehi har pal main doa karon
----------
Tujhe ansu bhari wo dua miley
Jisey kabhi na rad Khuda karey
Tujhey hasrat na rahe kabhi jannat ki
Tere aangan me muhabbaton ki aisi hawa chale
----------
hadon ki qaid se tu ker azad mujhey
dil me basaya hay to ankhon me utar le mujhy
mere sab hi jazbon me hay pakizgi ka rang
tu jis rishtay se chahay pukar lay mujhay
----------
Umar ki rah me rahte bdal jate hen
Waqt ki andhi me insan bdal jate hen
Sochtain hen us ko na yad kren
Lakin Jab Ankh band kerte hen to irade bdal jate hen
----------
yahan mazdoor ko marne ki jaldi yun b hay mohsin
k zindgi ki dour main kafan manga na ho jay
----------
KISMAT MAIN JO KUCH HOTA HY
WOHI SUB KUCH MILTA HY
NA CHINANY SE KUCH APNA
NA KHONY SE KOI KHOTA HY
JO NA MIL KAR BHI MILY
KABHI EAS TARAH B MILTA HY
SABAR K QAEEL HON JO LOG
MUQADAR UNHI KA KHILTA HY
----------
MAIN TUM PE MARNA CHAHTI HON
KALI HON KHILNA CHAHTI HON
KHAK BAN KAR TERI RAHON MAIN
MAIN TO BIKHARNA CHAHTI HON
TERY PYAR MAIN PAGAL HON
TUGHY PAGAL KARNA CHAHTI HON
TU MERA BAN JA BAT KHATAM
MAIN TERI BANANA CHAHTI HON
----------
bahut roye teri yaad koseeny se laga aar faraz
valli ho jatey agar kar tey khuda ko yaad itna
----------
us se faqat itna sa taluq hai Fraz wo shaks preshan ho to humein neend nahen aati
----------
Bohat Ajeeb Hain Yeh Bandsheen Mohabbat ki FARAZ
Na Us Ne QAID Mein Rakha Na Hum Faraar Hue
----------
humsafar Chahiye Hajoom Nahin
ek Musafir Bhi Qafla Hai Mujhe
Tou Muhabbat Se Koi Chaal To Chall
Haar Janay Ka Hosla Hai Mujh Mein
----------
Bechaini si dil me hai khayalo me uljhan hai
khwabo me sama gaya hai koi
har shabd ko ghazal bana gaya hai koi
mohabbat hi zindagi hai yah samjha gaya hai koi
shayad isiliye log kah rahe hai
Mujhe Pyaar Ho Gaya Hai
----------
saza na do mujhay bay kasoor hoon main
tham lo mujh ko ghamoon say
choor hoon main teri doori nay kar diya hay pagal mujhay
aur logoon ka kehna hay k maghroor hoon main
----------
Laug parh laity hain mery aankhon se Faraz
mujh se ab tery muhabat ki haifaazat nahin hotee
----------
MUHABBAT KARNY WALAY
SUNNA HAI ANKHUN MEIN TARE LEYEH PHIRTY HAI
AUR CHEHRY KOSAY-KZAH K RANG B SARAY LIYEH PHIRTAY HAI
HAN BAAT HAI SARI QISMAT K WARNA APNI B KHAUHISH THI K RANG DANNUK K APNY BAS MEIN HOTY
----------
k tu teri aawaaz yaad aayegi
teri kahi hui har baat yaad aayegi
Din dhal jaayega raat yaad aayegi
har lamha pehli mulaqaat yaad aayegi
----------



No comments:

Post a Comment