Hindi Shayeri Urdu SMS Collection 3

us na mujay choor dia faraz
jo har waqt kehta tha mujay choor na jana
----------
HUM NA KAHA KAMAL HO TUM JO HUMAIN BULA SAKU
HUM NA TU FAQT BAAT K TUM NA KAMAAL KAR DIYA
----------
Meri takmeel mein hissa hia tumhara bhi Faraz
Main ager tuj sy na milta to adhora hota

----------
Koi Suraj jage meri Dharti py
Kuch aysa ho yeh raat dhaley
Koi hath main thame hath mera
Koi le ker mujh ko sath chale
koi bethy mery pehlu mein
Mery shany per hath dhary
----------
Gum sum howa awaaz ka darya tha jo ek shakhs
Qatra bhi nahi ab to samandar tha jo ik shakhs
Shayed wo koi harf-e-wafa dhoond raha tha
Chehron ko barey gaur sey parhta tha jo ik shakhs
Apney haathon main kae zakhm chupaae howey phirta hai
Sheeshay k khilonon sey behalta tha jo ik shakhs
----------
Wo mila to sadiyun k baad bhi mairey lab pe koi gila na tha
Usay mairi chup ne rula diya jisay guftagu main kamaal tha
----------
Baaton baaton main bicherney ka ishara kr k
Khud b roya wo bohat hm se kinara kr k
Sochta rehta hun tanhae main anjaam-e-khaloos
Phir usi se jurm-e-muhabbat ko dobara kar k
----------
Main us ka hoon ye to wo jaan gaya hai FARAZ
Wo kis ka hai ye raaz mujhe soney nahi daita
----------
Chahat bharay wo lafz aur har lafz main dua MOHSIN
Maqrooz kar diya hamein tumharey khaloos ne
----------
Gher se bahir wo Naqab me nikli
Sari Gali un k Inqalab me nikli
Inkaar kerti thi wo jo hamari Mohabbet se
Or hamari hi Tasweer un ki Kitaab se nikli
----------
Waden krte hein Qasmen khattey hein
Phir bhi janey kio log saath chor jatey hen
Hamen to takleef hoti he Phool torney men bhi
Na janey Log Dil kaisey tor jatey hein
----------
udas ankh main shab ka khumar dekha hai
pehli bar use bekrar dekha hai
jise khabar hi na hote the mere ane ki
usi ki ankh me intizar dekha hai
----------
Zara paaney ki chahat main bohat kuch choott jata hai
Najane saber ka dhaaga kahan pr toot jaata hai
Kisay hum-rah kehte ho yehan to apna saya b
Kahin pr saath rehta kahin pr choott jata hai
Ajab shey hai ye rishta b bohat mazboot lagta hai
Zara si bhool se lekin, bhrosa toot jata hai
----------
Ishq ki rah main do hi manzilain "FARAZ"..
Ya dil main utar jana, Ya dil sey utar Jana
----------
chura lain gay tum say yeh shan-e-beniazi
phir mangtay phiro gay hum say gharoor apna
----------
Bat gaya hun yun kisi ko alvida kartey hoey
Loat aaya hai badan par zaat darwaaze main hai
----------
Us nay eik bar bataya tha mujhe
Barsati barish say ishq hai us ko
So us ka ishq apnany k liye
Meri ankhein har raat barsti hain
----------
Diwangi se kum na the kuch apni justju
hum bewafa jahan main wafa dahonte rahy
mehreromyo k dor me kin hasrtoon k sath
hum pathron k dil main khuda dhondte rahy
----------
Hr phool ko raat ki rani nahi kehty
Hr kisi sy dil ki kahane nahe kehty
Meri aankhon main nammi deak kr samajh jana
DEWANY hr baat zubani nahi kehty
----------
mery ajnabi mery aashna tojhy harf harf main DUA likhun
koi aisa vasal naseeb kr tujhy chand taary hawa likhun
agr na bun sakoun kabhi tera to hayat ko main fana likhun
agar na daar ho mujhy kufr ka to main tujh ko apna khuda likhun
----------
KABHI YAAD AAO TOU ISS TARHA
kabhi gungnao tou iss tarha
mera dard phir say ghazal banay
kabhi dil dukhaoo tou iss tarha
meri dharkanain bhi laraz uthain
kabhi bhool jao tou iss tarha
----------
Kuch khud bhi thay afsurda say
Kuch log bhi hum say rooth gay
Kuch khud bhi zakham kay aadi thy
Kuch sheeshay haath say toot gay
Kuch khud bhi thay hasas buhat
Kuch apnay muqaddar rooth gay
----------
Mera lafz lafz
Dua Dua
Mere Ansuon se
dhula howa
Tujhe zindagi ki sehr mile
Hr khushi tera mukaddar bane
Ho jis ki tjhe
arzu
Wo bin dua ke tujhe mile
----------
Yun nazar ki bat ki or dil chura gaye
Andhero k saye mai dharkan suna gaye
Hum to samjhe the ajnabi aapko
Aap to hame apna bana gaye
----------
mainy dhowain kay badal phankky tary shaher ki sarkoo per
to b dhuool zara ce chakh lay aa ker mary gaoun mian
----------
mary ehsas nay sawan mian ganwai hay nazer
mujh koo sookha howa jangle b harra lagta hay
----------
to wo zalim jo dil mian reh ker b mara na ban saka GHALIB
Or dil wo kafirr ji kujh mian reh ker b os ka ho gia
----------
Semait Ker Mujhy Apni Dahleez Ka Pathar Ker Day
Ya Khak Bana Ker Derbdar Ker Day
Os Say Becher K Bary Qarb Main Hun
osay Kaho Mari Azmaish Ko Mukhtsir Ker Day
----------
Ankho me aansu aa jate hain
phir bhi labo per hasi rakni parti hai
yeh mohobbat bhi kya cheez hai yaroo
jis se karti hai usi se chupaani parti hai
----------
Dard bhi de gaya sitam bhi de gaya
zkham k sth sath mujhay gham bhi de gaya
Do lafzoon se kar gaya wo apna maan halka
or hmko na rone ki kasam bhi de gaya
----------
Ufaq se par koi had nazar me rakhe gi
Teri talash musalsal safar me rakhe gi
Ajeeb shay hy teri yad jo bala ki trah
Har aik pal muje apne asar me rakhe gi
----------
Tum say becher ker tum he say millna hay ek denn
Tum jeski inthaa ho wahee ibtdaa hun mian
----------
Os aik pal ki tlash mian jesy loog kehty hian zindgi
Tari rahguzerr mian bekhar gain miaree omer bher ki musaftien
----------
Na thi jisay mery pyar ki qadar
Itefaaq se usi ko chah rahe thay hum
usi chiragh ne jalaya mery hathon ko
jis ko hawa se bacha rahe thay hum
----------
Mary hamsafar ka ye hukam tha
k kalaam us se main kam karun
Mery hont aissy Silay k phir
Meri chup ne us ko rula diya
----------
SAPNAY USSI KAY PURAY HOTAY HAIN JIN K SAPNOO MAI JAAN HOTI HAI
PANKHOOO SE KUCH NAHI HOTA HOSLOO SE URAAN HOTI HAI
----------
Na meri koi manzil ha na kinara
Tanhai meri mehfil ha aur yadain meri sahara
Tum se bichar k kuch yun waqat guzara
kabi zindgi ko tersay kabi moot ko pukara
----------
hum par tumhari chah ka ilzaam hi to hey
dushnaam to nahin yeh ikraam hi tou hey
kartey hain jiss pe taan koi jurm tou nahin
shoq e fazool ulfat e nakaam hi tou hey
dil ey mudai k harf e malaamat sey shaad hey
aey jaan e jaan woh harf tera naam hi tou hey
----------
Ho chuka hai phir ab kisi ka wo
kabhi meri bhi zindagi tha wo
bhoolta kon hai pehli mohabbat
meri sari khoshi tha wo
pholon ki tarhan muskarata tha
mere honton ki bhi hansi tha wo
----------
Rone se kya hasil-e-dil sodaie
Ankhoon ki bhi ruswai daman ki bhi ruswai
hum log samander k bichray howe sahil hain
is paar bhe tanhie us paar bhe tanhie
----------
har bar na kaha ker k tujhey chhor dein ge ham
na ham itney aam hain na terey bas ki baat hai
----------
HAR SAGAR K DO KENARAY HOTAY HEIN
KHUCH LOG JAN SE PEYARAY HOTAY HEIN
YE ZARORI NAHI HAR KOI PAS HO ZINDAGE MEIN
YADION K B SAHRAY HOTEY HEIN
----------
KESI KO PEYAR ITNA DO K HAD NA RAHE
MAGAR ITHBAR B ITNA KARNA K SHAK NA RAHE
WAFA ITNEE KARNA K BEWAFAI NA HO
AUR DUA BAS ITNEE KARNA K KABI JUDAI NA HO
----------
APNEY HE HOTEY HEIN JO DIL PEY WAR KARTAY HEIN
WARNA GHAIRON KO KEYA KHABAR DIL KE JAGA KON SE HA
----------
US NE MUJAY CHORE DEIA TO KEYA HOA FRAZ
MEIN NE B CHORA THA SARA ZAMANA US K LEAY
----------
KON KEHTA HA MERAY BAD WO TANHA HO GA
WOH AIK CHARAG HA KAHIAN AUR JALTA HO GA
WOH TO REHTA HA MUHABATOAN K DES MEIN
USAY KEYA KHABAR USEY KOI SOCHTA HO GA
----------
tujh se milne ki justoo b hai
aur tu mere roobro b hai
sochte hain is dil ko aag laga dain
phir khayal aya k is main basa tu b hai
----------
waqat noor ko be noor kr deta hai
thoray se zakham ko nasoor kr deta hai
koon chahta hai apnoon say door rehna
lekin waqat sb ko majboor kr deta hai
----------
HOTI HAI BARI ZALIM YAKTARFA MUHABBTAT
WO YADD TO ATAY HAIN PAR YAAD NAHI KARTEY
----------
jub bhi Arzu ki khud ko pany ki na pa ska
yeh sirf hey k mian tera thaa aur tera raha
----------
Samjha na koi dil ki baat ko
Dard duniya ne bin soche he de diya
Sah gaye jo hum agar dard ko chupke se
To phir humko patthar dil keh diya
----------
jo meri zaat ka har din gulaab karta tha
wo chahtein bhi magar be hisaab krta tha
siah raat k daman mein le k jugnoo ko
mere gunah bhi wo saare sawab krta tha
----------
Bari Mudat Se Chaha Hai Tujhe
Bari Duaon Se Paya Hai Tujhe
Tujhe Bholane Ki Sochon To Bhi Kaise
Kistmat Ki Lakiron Se Churaya Hai Tujhe
----------
kisi ko itna bi na chaho k phir bhola na sako
yahan mizaj badalte hain mosamo ki tarhan
----------
wo aana ki zid mai kahen khud ko barbad na kar lay
Ye soch kar usko phr se manaya hum nay
----------
maa ki 1 dua zindagi bana degi
khud roey gi mager tm ko hasa degi
kabhi bhool kar b Maa ko mat rulana
tumhari ek galti poora arsh hila degi
----------
na kar inkar zalum hamarain pass anain say
kay khuda bhi ruth jata hay kissi ka dil dukha nay say
----------
AARZU YE NAHI K GHAM KA TOOFAN TAL JAYE
FIQAR TO YE HA K TUMAHARA DIL NA BADAL JAYE
KABI B MUJH KO AGAR BHULANA CHAHO
DARD ITNA DENA K MERA DAM NIKEL JAYE
----------
YA RAB US KO SAADA LAZAWAL RAKHNA
MEIN RAHION NA RAHION TU US KA KHAYAL RAKHNA
MERI KHUSHAIN B LAY LAY MERIHANSEE B LAY LAY
MAGAR US K GIRD SAADA KHUSHAION KA JALL RAKHNA
----------
ab mein samjha us ki chamakti ankhoun ka raz
wo rota nahin ansoun ko qaid ker leta hai
----------

No comments:

Post a Comment