Hindi Shayeri SMS Collection

bekhudi ki zindagi ham jiya nahi kerty
jam doosroon se ham chein kr piya nahi krtay
----------
wo pyari nigha sda yad rahigi
mil ker bhi na milne ki ada yad rahegi
mumkin hai meray bad wo mujhay bhool jai
lakin umer bher ussay meri wafa yad rahegi

----------
Jo Bhi Mila Izhar Ker Gaya
Kabhi Na Socha Na Jana Kisi Nay
Hai Koi Is DiL-e-Naghry Main Bhi Kya
Muskan Meri Bersati Hain Bersat Kion
----------
main tujhe pany ki hasrat men kb tak zilat uthata rahun
koi aisa day mujhe dokha k meari aas toot jay
----------
Meri Chitti mere marnay k baad mili
Phool murjhai tu meri qabar mili us ko
----------
zehan main ruch bus gia ha kisi ka roop ae nasir

hum kia karan gain ab koi shahkar dekh kr
----------
ae zindagi main tuja kesa piyar karon
tera her ek saans meri umar ghata deta ha
----------
Main chahta hi na tha tumhey lajwab karna
Warna jawaab mairey paas har sawaal ka tha
Tmhari jeet se hoti hai dil ko khushi
Yehi jawaaz mairey paas apni haar ka tha
----------
Main samajh jata hoon magar dair se
us k sab daa-o-paich
Wo baazi jeet jata hai
mairey chalaak honey tak
----------
tu wo zaalim jo dil mai reh k b mare na ban ska
OR dil wo kafir jo muj mai reh k b tera gaya
----------
Wafa kaisi kahan ka ishq jab sar phorna thehra
To phir ae sangdil taira hi san-e-aastan kaun ho
----------
Ye charaag be nazar hai ye sitara be-zuban hai
Abi tujh se milta julta koi doosra kahan hai
Wohi shakhs jis pe apney dil-o-jan nisaar kar doon
Wo agar khafa nahi hai to zaroor badguman hai
----------
Wo b kiya ajeeb shakhs hai k jis ki zaat par Faraz
Jab aitbaar barh gaya to ikhtayaar ghat gaya
----------
Kitna Ajeeb Apni Zindagi Ka Safar Nikla
Sare Jahan Ka Dard Apna Muqadar Nikla
Jis Ke Naam ApniZindagi Ka Her Lamha Kar Diya
Afsoos Wohi Hamari Chahat Se Be khabar Nikla
----------
Jate Thy Mere Haq Mein sabi Faisley Lekin
Munsif Ne bhi Diya Sath Her Bar Usi ka
Ek Wo Hai Ke Tor Gaya Hum Se Sabi Rishte
Ek Dil Hai Ke Rehta Hai Tarafdar Usi Ka
----------
Kitni Nayab Thi Khamosh Chahat Us Ki
Aj Wo Pas Nahi Hai Tu Hai Hasrat Us Ki
Kar Hi Le Ga Tark_e_Taluk Muj Se
Lamhe Bahr Mein Badal Jaye Gi Fitrat Us Ki
Ye Ghalt Hai Ke Mujhe Chor Diya Us Ne
Wo Bhala Pas Na Ho Magar Yaad Hai Us Ki
Mein Fana Ho Gaya Afsoos Wo Badla Bhi Nahi
Meri Chahat Se Bhi Sachi Rahi Nafrat Us Ki
----------
abhi to mehfil e yaran main maghroor ho bhot
jab toot k bikhro gay to bhot yad aein gay
----------
mujh say teray dill ki ye halat daikhi nahi jati shiraz
to agar sath na ho sonu to ye duniya daikhi nahi jati
----------
ajnabi shehar k ajnabi rastay ajnabi hai jhan
main khaan say khaan aa giya
koi apna nahi sub ajnabi hain yhaan
ye zindagi ka hai safar shiraz koi wafadar nahi yhan
----------
chand main dhaal kr teri soorat
tehray pani main aks tera dekhain gay
phir hila kr pani ko
rat bhar tera raqs dakhain gay
----------
Jalte diye ka samne jhoka hawa dekh kar
Tum kio odas ho gae
Masum khiza dakh kar
Tum dukhon k soz ka
Mausamon k rog ka
Drd mat saha karo
Odas mat hoya karo
ya dard ha hayat k
Kuch rang kainat ka
kuch dukh ki tez barishein
Kuch phool ha nishat kaTum phool bus chuna karo
Udas mat raha karo
----------
ek lafz "Mohabbat" hai isay kar k dekho tum
barbad na ho jao to mera naam badal dena
ek lafz "Ansoo" hai isay dil main chupa kar dekho tum
ankhon se na beh jaye to mera naam badal dena
ek lafz "Judai" hai isay se kar dekho tum
toot kar na bikhar jao to mera nam badal dena
----------
dil to kehta hai Zamanay se chupa loon tujh ko
dil ki dharkan ki tarha dil mein basa loon tujh ko
koi ehsas judai ka na rahnay paye
es tarha khud mein meri jan chupa lon tujh ko
----------
is dil ka kaha mano ek kaam kar do
ek benam se mohbbat mery nam kar do
meri zat py faqat itna ehsan kar do
kise subha ko milo or sham kar do
----------
Ab pyar nehi kerna
bahut dard seh chukaa
mere Moujoun ke sahil per
bahut ab khoon beh chukaa
Nahi haasil to kya roun
teri mohhobat ko
teri hasi ke badle
kai baar mar marke jii chuka
----------
Dafan hain muj mai meri kitny Raunaqain mat pocho
ujar ujar ker basta raha woh shehar hon main
----------
Ye jo Zindgi ke kitab hai
Y kitab b kya kitab hai
Kahin ik haseen sa khwab hai
Kahin jan leva azab hai
Kbhi kho dia kbhi pa lia
Kabhi ro lia kbhi gaa lia
Kahin rehmaton ke hain barishain
Kahin tishnagi behisab hai
----------
Meri galtion ko chuna kro
Meri larzisho ko gina kro
Ye Qadam qadam ki hadod kya
Mere sath sath chala kro
Mei khule mizaj ka shaks hon
Ma takalufat se hn
Inhain dehk kr na hansa kro
Ye Dua ha
Rabb-e-kareem Se
Teri tazgi ko khizan na ho
Ye bahar tum se jala kre
Sada muskurate rha kro
----------
Dil pr aisey bhi azabon ko utartey daikha
Hm ne chup chaap usey khud se bichhertey daikha
Tujh ko socha tau hr soch mein khushbu utri
Tujh ko likha to hr lafz mehaktey daikha
Yad aa jay to kaboo ni rehta dil pr
Warna dunya ne bhi hum ko taraptey daikha
----------
Tere hisar se bahir nikal gai hon me
Tu thek kehta he shayad badal gai hon me
Tuje khabr nai kese sarab raste the
Khuda ka shukr he phr b sanbhal gai hon me
Mere elawa b tuje aziz tar he koi
Zra c bat pe aise hi jal gai hon me
----------
Abhi raat k diye jale hain
Abhi taaron k karvaan chale hain
Abhi hawa ne aanchal lehraya hai
Abhi chand ne chehra dikhaya hai
Kuch vasal ki baat honey do
Chalo aadhi raat honey do
----------
wo muklis b payra b humdrad
liken koch talilkh haqitain munjy janey nahi dati
----------
na ghila kreinge na shikwa kreinge hum
ab apni he zindage jia kreinge hum
shikha dia hai tanhayon ne buht kuch
ab apni he zindagi jia krenige hum
chahtay hain aur chahtay rahaeinge tujhe
tre siwa ab ksi ko na chahaeinge hum
----------
ab jagi hai hamari qadar un k dil main
Bad marne k un ko yad aya hai FRAZ
----------
Main usey kaisey akaila choorr doon is raah main
Saath jo chalta raha majboorion k saath b
Ban k khushbu rach gaya hai yun mairey ehsaas main
Door ho paya nhi wo doorion k baad b
Rafta rafta us ko b ye dunia raas aa gaee
Muskura k wo mila hai ranjishoon k baad b
Fasley kab kam huwey han rabton k baad b
----------
Nahi hai hamara haal kuch tumharey haal say alag
Bus farq itna hai k tm yaad kartey ho aur hm bhool nhi paatey
----------
Zamaney main ajab dastoor hai dil lainey walon ka
Usi ko looot laitey han jisey abaad kartey han
----------
Tum kahti ho
meray khat mujh ko
wapis kar doo wapis kar doo
beghi shamian
khushbu yaadain
sari baatain
tum kahti ho wapis kar doo
----------
Teri yadon k chiraghon jalayaa har shaam
Teri tasveer ko dil say lagayaa har shaam
Maangi hay khudaa say teray milnay ki duaa
baith kar tanhaa haathon ko uthaayaa har shaam
----------
aarzu ye nahi ke gham ka tufaan tal jaay
fiqar to ye hai ke tumhara dil na badal jaay
kabhi bhi mujh ko agar bhulana chaho tum
dard itna dena ke mera dam nikal jaay
----------
Khatain yad rakhta hai wafain bhool jata hai
Woh meri chahtoon ki intehaain bhool jata hai
Jo pichlay jurm hoon meray unko yad rakhta hai
Jo main nay Kaat li hain woh sazaain bhool jata hai
----------
Jhukna para hai hum ko darr pe kisi k aaj
Hum khud bhi daivta thay abhi kal ki baat hai
----------
chua na usne mujhe bas dhekta rha
meri zindagi se wo is trha khelta rha
na utra kabi meri zindagi ki jheel main
bas kinaray betha pathar phenkta rha
----------
karen kia apni hasti ka yaken hum
abhi sab kuch abhi kuch b nai hum
----------
"Faraz" us ki hansi main chupy dard ko mahsoos tu ker
woh tu yunhi hans hans k khud ko saza data ha
----------
yon to zindagi thari faqat gela kagaz ki tarah
koi likhta bhi nahi koi jalata bhi nahi
----------
Najaney konsi manzil ki taraf hum hen rawan
ghari to kya yahan pal ka aitbar nahi
kisi ko toot k chahein ya chah kr totien
hmare pas to itna b ikhtyar nahi
----------
Manzil na rahi koi thikaana bhi nahi hay
Wapis mujhe ghar lout k jaana bhi nahi hay
Main ne hi sikhaaya tha usay TEER chalaana
Ab mere siva koi NISHAANA bhi nahi hay
----------
Udaas na hona ke mai saath nahi hoon !
Saamne na sahi per aas paas hoon..
Palkon ko band karke dil se Yaad karna..
Mai hamesha tumare liye ek ehsaas ho!
----------
Tum Smejte ho moje tumse gela kuch bi nehi
May ess waste chop hon k tamasha na bene
-----------

No comments:

Post a Comment