Hindi Shayeri Urdu SMS Collection 7

Ajeeb lagti hay sham kabhi kabhi
Zindagi lagti hai baijan kabhi kabhi
Samjh aaye to humein bhi batana k
Kyun karti hain yaadein pareshan kabhi kabhi

----------
HUM ROONAY PAY AYE TU DARYA HE BAHA DAY
SHABNUM KI TARA HUMAY RONA NAHI ATA
----------
ae zindagi main tuja kesa piyar karon
tera her ek saans meri umar ghata deta ha
----------
WO SWAB SAMAJH KR HAMARAY DILL K TUKRAY KARTA HAI ANJUM
HUM GUNAH SAMAJH K US SAY GILLA NAHI KARTAY
----------
Tanhaion nay tor di hum donon ki anna
Aina bhi baat karnay pe majboor ho gia
----------
Teray suraj nikalnay say mera mausam nahi badla
wohi gehri udasi thi wohi gehri udasi hai
----------
Muhabbat kay iraday mojezoon say kam naheen
samandar par karnay kay liye kaghaz ki kashti hai
----------
Saqi teri sharab bara kam kar gai
kuch rastay mein mar gaye kuch pase deewar mar gaye
----------
Imran Jehaan too ho zamana nhi hota
Her baat pe jana ye behana nhi hota
Us shakhs ki aankhon me ajab kef bhara hy
Jab saamne hoti hain zamana nhi hota
----------
Ho gai ghair ki sheereen biani kargar
ishq ka guman us ko hum be-zabanon per nahin
----------
Mujh ko to hosh nahin tum ko khabar ho shaid
Log kehtay hain kay tu nay mujhay barbad kia
----------
wo iss aana main rehta hai k hum us ko us se maangain
hum iss gharor main rehtay hain ke hum apni he cheezon ke liye daaman ko phelaya nahi kartay
----------
Shiddat-e-dard se sharminda nahi meri wafa Fraz
Dost gehrey hain tou phir zakham bhi gehrey hon gey
----------
Hum se Aik Rootha Hua Shakhs Na Maana FARAZ
Log Roothi Hui Takdeer Mana Lete Hai
----------
maza us moot ka jis ka zamana kare afsoos
Youn tu sub hi ayen hain marne ke lie
----------
Aa daikh mari aankh ke ye bheghay huay mousum
ye kiss ne keh dia ke tujay bholl gae hum
----------
Hum ko RASMEY MUHABT yad hay
WARNA TUM KO ASA BHOHLAY KE TUM YAAD RAKHO
----------
Suno aisa nahi krna
Muje tenha nahi krna
suno tum Aankh ho meri
Muje Andha nahi krna
Suno tum Aaan ho meri muje adna nahi krna
suno aisa nahi krna
Suno tum jan ho meri
muje murda nahi krna
----------
mari talab tha eik shakhs wo jo nahi milla tou pher
hath dua se youn gira bhool gea swal bhe
----------
us ny kaha kon ho tum?
may nay kaha hasrat teri.
us nay kaha pagal ho kia?
may nay kaha aisa he sahi.
us ny kaha karty ho kia?
may ny kaha pooja teri.
us ny kaha kafir ho kia?
ma ny kaha soch teri..
us ny kaha chahtay ho kia?
ma ny kaha mohabbat teri.
us ny kaha pachtao gy...
ma ny kaha kismat meri....
----------
Hum Na Badlein gay waqt ki raftaar kay sath Faraz
Hum jab b milen gay andaz purana hoga
----------
Pathar tarash tarash kar ungliyaan ho gaen zakhmi 'FARAZ'
Jab bana mera mehboob to kharidaar aa gaey
----------
Kuch Tu Hee Mere Dard Ka Mafhoom Samajh Lay Faraz
Hansta Howa Chehra To Zamaane Ke Liye Hay
----------
Be-Naam Zindagi ki Haqeqat na Puchiye Faraz
Kuch Pur-Khaloos Loog Thay Barbaad Kar Gaye
----------
Ab to Tasaver main hi baki hai Koe yar ki Ronak
Yahan wo a nahi sake whan hum ja nahi sakte
----------
ye arzu thi k aisa b hua hota
meri kami ne tujhey bhi rula dya hota
main lot ata teri simt aik lamhey main
tere labon ne mera naam to lya hota
----------
Kashti bhi Nahin Badli, Daryaa bhi Nahin badla
Hum Doobne Walon ka Jazba bhi Nahin badla
Hai Shoq-e- Safar Aisa, Ek umer Hoi Humne
Manzil bhi Nahin Paii or Rasta bhi Nahin Badla
----------
Taseer hi Olti hy aflas k amrat ki
mein jis ko pelata hon wohi zaher ogalta hy
----------
Rasm-e-ulfat hi ijazat nahi daiti warna
hum b tumain aisa bholain k sada yad karoo
----------
zindage mai ek bar hota hai
jane dil mai is ka kiu azhar hota hai
bhut socha tha ke rokey gay is dil ko
per piyr mai to kuch kehna bhe bekar hota hai
----------
Mana k tere deed k kabil nahien hain hum
Tirchi nazar se dekh magar dekh tu sahi
----------
Hum tu aghaz-e-mohabbat main hi lut gaie hain "Faraz"
Log tu kehtay thay K anjaam Bura hota hay
----------
agar hum faisla kr lain kahin se kooch kr jane ka
to phir wapis muharon ko hum mora nahi krte
hume maloom hai har jeet bil-aakhir hamari hai
so hum waqti shikaston pr dil chota nai krte
----------
mere har khata hai qabil e saza
mera har jurm hai intha
tere hatoo jo khun hwe
wo to they be zarar
----------
Kitne bedard hain zindan k nigehban "Mohsin"
Ankh lagti he tu zanjeer hila detey hain
----------
Barsoon pahlay jo shakhs mara intzar karta tha
aaj gali main mila hay dakha tak nahain
----------
Zindagi Kiss Thara Bitao Gay
Pas Jab App Hamay Na Pao Gay
Din May Tanhayia Sataye Gi
Rat Ko Chonk Ker Oth Jaoo Gay
----------
Many usay salam likha bheja
hall-e- dil tamam likh bheja
menay pocha app kay hont kesay heain
us nay qudrat ka inaam likh bheja
menay pocha kab hogi mulaqaat
us nay qayamat ki shaam likh bheja
menay pocha itna tarpatay kion ho
us nay jawani ka intiqam likha bheja
menay pocha tum ko nafrat kis say hay
zalim nay mera hi naam likh bheja
----------
Kuch iss liye b tum sy APNAYAT boht hay Muje ko "Faraz",
Maira tu koi nehi hay tumara tu koi ho
----------
Umeed ki Kashti ko Doboya nhi krte
Sahil agar Door ho to Roya nhi krte
Rakhte hai jo Dil mei Tarap kisi ki
Woh Log to Raaton ko Soya bhi nhi krte
----------
Arzuoon ko sar nahi kerty
youn kisi dil main ghar nahi kerty
piyar kuch soch ker nahi hota
dekh ker en ko khuof aata hai
jo parinde safar nahi kerty
----------
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi,
Jab chand sitare chamak rahe hon,
Jab yadon k phool mehek rahe hon,
Jab deed ko nain taras rahe hon,
jab ankhon se ansu baras rahe hon,
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi
----------
Ye Hum B Gawara Karte Hain
Ye Tum B Gawara Kar Lena
Ro Ro K Guzari Hai Hum Ne
Tum Hans K Guzara Kar Lena
Betaabi Had Se Barh Jaiy
Aur Neend Na Aaiy Raaton Ko
To Doob K Meri Yaadon Mein
Dunyia Se Kinara Kar Lena
Jis Waqt Janaza Guzrega
Mera Tere Kooche Se
Jazbaat Pe Qaboo Kar Lena
Khirrki Se Nizara Kar Lena
----------
Bhool jane ka hosla na hai na ho ga
Door reh kr b tu juda na hai na ho ga
Tujh se mil kr kisi aur se kia milna
Koi tera jesa na hai na ho ga
----------
Abi tu zid hai usey rasta badalne ki
Kabi tu roi ga chahten hamari yad kar k
----------
Ab milen ge us se tu khoob rulain ge
Suna hai k us ko rote huwe lipt jane ki aadit hai
----------
Us simat jao agar itna us se kehna
Koi aur na suney bas tanha us se kehna
Kuch loog safar k liye mozon ne hote
Aur kuch safar kat te nahi tanha us se kehna
----------
Mana k tum badil ho par itna b tu na baras
Hum b tu darya hein kinaron se uchal jaien gay
----------
Tum nay to thak ker sehra main khaimain laga liay
Tanha katay kisi ka safar tum ko is say kia
----------
Dill say tery yaad ko juda to nahee kia,
rakha jo tumain yaad bura to nahee kia,
hum say log naraz hain kis liay,
hum ne kabhi kisis ko khafa to nahee kia .
----------
Bohat udas he ye raat ab chalay ao,
Kaha chuppay ho pass ab chalay ao,
Tumhari yad mein her waqt khoya rehta hun,
k ab ho bhi mulakat chalay ao.
----------
main na kabhi ya zid na ki par aah mahjabeen
aj shab na ja k tabiyat udhass ha
----------
tarpatay thay jis pal kay liye
wo pal mila b to ik pal kay liye
----------
Arzoo Hay Tumhain Door Se Dekhnay Ki
Mager Pass Nahi Aana Chahta

Tamanna Nahi Tumhain Panay Ki
Mager Khona Bhi Nahi Chahta
----------
wada-e mehbob pe naaz kya kartien hain
kabhi takleef na ho unko ye dua kartien hain
in k altafaat ka hum zikr kya kartien hain
wo kabhi gumzada na ho ye dua kartien hain
----------
Ansoow ankhon main aya na karo
Gir kay halat zamany ko bataya na karo
log mathe se nam phertay hain
zakhm dil kay logon ko dekhaya na karo
----------
UDASIYON SE WABASTA HAI ZINDAGI LEKIN,
KHUDA GAWAH HAI KE PHIR BI TUMHEIN YAAAD KARTE HAIN,
YE NA PUCH KE TERE BAAD KIA KARTE HAIN,
TERI UMEED BAS TERA INTIZAR KARTE HAIN.......
----------
ik pal mein jo guzar jata hai,
ye hawa ka wo jhonka hai or kuch nai,
peyar kehti hai ye sari duniya jise,
ik RANGEEN dhoka hai or kuch nai,
----------
Aisa nai k hm ko muhabbat nai mili
Ha jaise chahta tah woh qurbat nai mili
Milnay ko zindagi mai kayi hmsafar milay
lekin tabiaton se tabiat nai mili
Chehron k hr hujoom ma hm dhundte rahe
kahin surat to kahin seerat nai mili
Har shakhs zindagi mai bohat dair se mila
Koi b cheez hasb-e zarurat nai mili
----------
Pane sa Khone ka maza or hai
Band ankhon main rone ka maza or hai
Anso banay lafz or lafz bana ghazal
Or ghazal main taray honay ka maza or ha
----------

1 comment: